Dosto jub bhi hum internet par surfing karte huye kisi bhi website ko open karte he to kuch website par alag alag tarah ke vigyapan ( Ad ) dikhai dete he. Site me kisi bhi jagah ‘Ads by google’ wale ad show hote hai, kiya aap jante he Website par dikhne vigyapan ( Ads ) se hume kitana nuksan he aaiye jante he.
Website Ke Sath Load Hone Wale Vigayapan ( Ad ) Se Kiya Nuksan Hota He ?
1. Website par lage vigyapan hamara dhyan bhatakata.
2. Website par lage vigyapan hamara internet data barbad karta he.
3. Website par lage vigyapan se website ke load hone me bahut time lagta he
Website Ke Sath Vigyapan Aane Se Kaise Roke ?
Kuchh log in ads se chhutkara pane ke liye alag alag browsar par adblockar lagate he. Dosto me apko ek aisa tool batata hu is ek tool se hi aap apne sabhi browsar par vigyapan se chhutkara pa sakte he. Is tool ka nam AdFender or ye tool apke sabhi browsar me vigyapano se suraksha karta he. Or sabhi ads ko kisi bhi website me load hone se roka ja sakta hai.
AdFender Sabhi Browsar Me Ads Kese Block Karta He ?
Is tool ko aap jaise hi apne computar me install karenge ye aapke computar me apna kam suru kar dega. ye tool thik wese hi kam karega jaise aapke computar me anti virus kisi virus ko aapke computar me aane se rokta he. AdFender bhi thik wese hi kam karta he. internet ke sabhi ad ko browsar me aane se rokta he or ye anti virus ki tarah outometic apne databes ko updat karta rahta he.
AdFender Kon Kon Se Browsar Me Kam Karta He ?
AdFender sabhi internet browsar me kam karta he jaise :- Google Chrome, Firefox, Opera, Internet Explorer, Safari, Avant, K-Meleon, Maxthon, Lunascape, Epic
AdFender Se Kiya Fayeda he ?
AdFender ko install karne ke bad bad aap apne computar me web page ke upload hone ki speed or internet ki speed me fark dekhenge.Isko Padna Na Bhule :-
AdFender Ko Kaha Se Download Kare ?
Dosto mujhe ummid hai ki Website ke Ads Block karne ka tarika aap logo ke liye Helpfull hogi agar aapka koi sawal ya aap kisi prakar ki help chahte hai to mujh se aap comment me puch sakte hai, Apke sawlo ke jawab dene me mujhe khusi hogi.
mai jaise hi apna laptop open kar ke chrome me jakar google open karta hoon is par tabhi se gande gande ads aane lagte hain jise agar cancle karne k liye ad k right corner wala x click karta hoon to gayab hone ki jagah page open ho jata hai.
please koi upay bataiye
me bhi chrom use karta hu par aise koi problem ahi aati………na koi ads show hota hai. ape jarur koi extensions use kiya hai…..jiski wajah se ye dikkat aa rahi hai. ek kaam karo google chrom me upar right side me setting ka option hai usse opne karo or usme mor tools me jakar extensions par click karo or dekho koi faltu ke extensions install to nahi ho gaya hai. Agar hai to remove karo