Dosto hamari pichli post me UPI App ke bare me jankari batayi gayi thi. Aaj hum aapko UPI me Account Kaise banaye? ki steps bata rahe hai. Yah app kis kaam aata hai aur isase kiya kar sakte hai ye sab aap details me jaan payenge.
Jub se narendra modi ne note bandi ki hai logo ki problem bad gai hai. Banko me cash ki kami ke chalte aap apne khate se jayada rakam nahi nikal sakte, ATM me paise nahi hote. Aise me sarkar ne digital payment system ko badawa dete huye cashless transaction ke liye E-Wallet technology lekar aayi hai.
Aaj apko hum UPI App par ID kaise banti hai? or Paise transfer karne ke liye cashless transaction kaise hota hai? batayenge.
UPI App yani Unified Payment Interface ek mobile App hai Jisko RBI ( Reserve Bank of India ) or NPCI ( National Payments Corporation of India ) ne milkar banaya hai. Is App ko Android Smart Phone me install kar ke use kar sakte hai. Ye puri tarah Sequre Cashless App hai jo E- Wallet ka kaam karti hai. Hamari Govt ne khud isko achi tarah check karke Verify kiya hai.
Isko Bhi Padhe :- Janiye Android Smartphone Me UPI App Kaise Kaam Karta Hai or Isko Kaha Se Download Kar Ke Install Kare.
Apne abhi tak mobile par Paytm ya other digital wallet app ka use kiya hoga. or inse money send or money add karke online recharge ya shoping ki hogi. Aap ek bar apne mobile phone me U. P. I. app ko try karke dekhiye isme apko best feature milenge or isko istemaal karna bhi bahut easy hai.
Apne Mobile se UPI Me Account Kaise Banaye? Step by Step Hindi Me Puri Jankari
Jiske pass bhi android ya IOS smat phone hai wo is Cashless App ka istemaal kar sakta hai. Iske dwara aap Fund transfer, Online Transaction, Send Money between Bank Accounts, Receive Money, Online Shopping Payment aur Online electrics Bills jaise kaam bina bank jaye ghar baithe kar sakte hai.
Isko Bhi Pade :- Cashless Transaction Kise Kahte Hai? Details in Hindi
UPI Me ID Banane Ke Liye Apke Pass Kiya Hona Chahiye?
Agar aap upi par ID banate hai to apke liye yah jaruru hoga ki apko kin kin chizo ki jarurat pad sakti hai.
- Kisi bhi Bank Me Ek Account
- Ek Smart Phone Mobile
- Apke Phone me wahi sim honi chahiye jiska Mobile Number Bank Account me Registered ho.
- Apke Phone me Main Balance kam se kam 1 Rupaye jaruri hai.
- UPI App Download karne ke liye Internet.
- Ek Visa ya Master card ATM chahiye
UPI Account Banane Ka Tarika in Hindi
Kisi ke bhi account me paise jama karane ke liye bank me jakar ghanto lambi line me khada hona padta hai. UPI Id create kar ke kisi ke bhi account me paise transfer palak jhapkte kar sakte hai. ID banane ke liye UPI me apko apna bank account registered karna hoga. Iski puri details apko step by step bata raha hu follow kare.
Isko Bhi Padhe :- Janiye Bina Internet Facebook Kaise Chalaye
UPI Me Account Kaise Banate Hai Steps by Step in Hindi
Steps 1. Sbase pahle Google Play Srore par jakar smartphone me UPI App Download or Install kare. Aap agar apne bank ka App download karna chahte hai, to yaha click kare isme mene sabhi banko ke UPI Apps download karne ke link diya hai.
Steps 2. Install karne ke bad App open karne par apse pucha jayega aap kis sim se UPI registered karna chahte hai. dhyan rahe aap wahi sim select kare jiska Number Bank Account me registered ho.
Steps 3. Ab apke mobile se ek Verification SMS send hoga aur apke phone balance se MSG bhejne ka 1 rupaye kaat liye jayenge.
Steps 4. UPI me Phone Number ka Verification Successful hone par apki upi profile ban jayegi.
Steps 8. Wapas se Main Menu me jakar Set Pin me jana hai. Yaha apko apni pasand ke 4 number ka pin set karna hai. dhyan rahe yah pin kisi ko na bataye. Jub bhi UPI App se transaction karenge to yahi pin submit karna hota hai.
Note :- Aap jitne bhi bank account upi me add karenge sabke liye alag alag pin banana hoga. Jub bhi koi apne kisi bank account ka use karke Upi se Cashless transaction karenge to uska pin sabumit karna hoga. Isliye Apni Virtual ID or Pin hamesa yaad rakhe.
- Apni pasand ka Pin Set kare.
- Set Confirm PIN me fir se wahi pin dale.
- Debit Card number ke last 6 digit dale aur Card ka Expiry Date enter kare.
- Ab sab kuch ache se check kare ki kuch galti to nahi hai or Submit ke option par click kar de.
Steps 10. Agar apne sub kuch thik se kiya hai to PIN Created Successfully ka message aayega.
Congratulation! apne apna bank account UPI me connect kar ke UPI ID Create kar liya hai. Ab aap isse Cashless Transaction Mony Send or without paise len den karne ke liye use kare.
Isko Bhi Padhe :- Janiye ATM, Debit Card Aur Credit Card Me Kiya Difference Hota Hai.
Dosto ane jana upi me account Kaise Banaye? Agar aap kuch puchana chahte hai to comment kar sakte hai. Apna 2minute ka time nikalkar is post ko share kare taki logo ko isse help mile. Is website par aane wale latest trick or tips ko facbook par pane ke liye Like Kare Fscrbook Page Digital New Hunt.
sir if mere register number android mobile me nh rehega kisi simple mobile me rehega or hum apne android fone se register karna chahenge yo kiya kaam karega
register number android mobile me rahega tabhi ye kaam karega.
sbi pay upi app ko sign up ke dauran jo secret answer dala tha bhul gaya ab app password banana hai. lekin secret answer puchh rha hai. aage kaise badhe. ya app reset kaise Karen?
Aap upi app ko close karo fir isko uninstall kar ke phir se install karo or ragesterd karo ho jayega.
Sir meme upi account bnaye good
sir set upi pin nhi ho rha iska kya region hai
kiya error aa raha hai batawo.
Agar kisi ke pass debit card nahi h to use kya krna hoga
wo net banking use kar sakte hai.
ATM nhi rahega to nhi hoga kya?
bina atm ke bhi hoga.
Mera UPI Id kod kaise banega
is article me bataye gaye tarike ko follow karo or apka account ban jayega.
Sir dusre bank me rupe transfer Karne hai uske liye upi I’d maang raha hai vo kese banaye Maine bhim app download kari hai
mene iske bare me details me sabhi steps samjhaya hai…aap post me diye gaye UPI me account banane ki steps ko follow kar ke account bana sakte ho.
Surendra Singh
Atm