• Skip to primary navigation
  • Skip to main content
  • Skip to primary sidebar

Digital New Hunt

इंटरनेट की जानकारी हिंदी में!

  • ब्लोगिंग
  • सोशल नेटवर्क
  • मोबाइल
  • टूल्स
  • HTML to XML Converter
  • ऑनलाइन हिन्दी टाइपिंग
  • Words and Characters Counter Tool
  • लाइफस्टाइल
  • कोरोना अपडेट

Template

Blogger Blog Ki Template ( Theme ) Kaise Change or Upload Kare

2, August 2022 by Dharmendra Kumar 21 Comments

Apne blog ko beautiful design and unique look dene ke liye blogger me theme badlna bahut important hai. Hum apne blog par mehnat karke bahot achche achche post likhte hai. Logo ko samajh aa sake utni easy bhasha me article likhte he. Phir bhi hamare blog ko koi like na kare ya web site par visitors na badhe to hum nirash ho jate hai. Kyon ki agar itni mehnat karke bhi visitors nahi aaye to dukh jarur hota he. Iske liye bas ek hi tarika he apke site ki theme attractive aur simple hona chahiye. Aaj hum blogger blog ki Template ko Change Upload kaise kare ki jankari sikhenge.

Blogger Blog Ki Template Change Kaise Kare Ki Jankari

Blogger Blog Ki Template Change Kiyu Kare

Iske bahut se karan hai jaise :-

  1. Aajkal sabhi log Smartphone Mobile par internet use karte hai. Blogger ne bahut sare template’s de rakhe hai. par wah sab bahut purane hai or mobile friendly bhi nahi hote.
  2.  Bogger ke sabhi Template SEO ( Search Engine Optimization ) Friendly bhi nahi hai. Jiski wajah se apke blog me traffic nahi badega.
  3.  Blog ko Website jaise look dene ke liye.

Blog Me New Template Kaise Upload Kar Ke Lagaye

Agar aap new template lagane ja rahe hai to wo XML File format me honi chahiye kiyu ki Blogger me xml format ka themes support karta hai or iske sath isme me kuchh Feature ka hona jaruri hai jaise :-

  • Apna adsense juldi approved karane ka tarika janiye
  • Internet se paisa kamane ka tarika 

1. Mobile Friendly :-

Aap Mobile Friendly Template use kare. Kiyu ki aajkal sabhi log Smartphone Mobile me net ka use karte hai. Sabko pata hai blog par jayda traffic smartphone se hi aata hai. Agar hamari site mobile par sahi se nahi khulegi to koi bhi dubara open nahi karega.

2. SEO ( Search Engine Optimization ) Theme :-

SEO Friendly theme badlne ki jarurat hai. Kiyu ki agar blogspot ka SEO Friendly Template hoga to aapka post content search me jyada aayega. or site ranking improve hogi.

3. Fast Loading Theme :-

Agar aap blogspot me Fast Load hone wala or responsive template lagate hai to traffic kabhi kam nahi hoga. Kiyu ki visitor ko hamesa fata fat load hone wala hi Website or Blog pasand aata hai.

Blog Ke Liye Template Download Kaise Karte Hai?

Theme Download karne ke liye aap internet par mojud Website par jakar apni pasand ke free theme Download kar blogger me install kar sakte hai. Me kuchh website ka name bata raha hu jaha se full feature free theme blogger me lagane ke liye download kar sakte hai
  • BTemplates
  • Gooyaabi Templates
  • Web Designrazzi
  • My Blogger Themes

Blogspot Blog Me Template Lagane Ka Tarika

Iske liye niche diye gaye steps ko follow karna hai.

Step 1. Sabse pahle apne Blogger Account Login kare. Jis Blog me new template lagana hai us par click kar ke deashboard me jaye.
Step 2. left side ke menu bar me template par click kare or right side me upar ki taraf Backup/Restor par click kare.
Backup/Restor template

 

Step 3. Backup/Restor par click karne par ek popup window khulega. usme aapko 3 options milenge jaise ki :-

install new blogger theme

 

1. Download Full Tempalete :-

Is option par click kar ke aap apne Theme ka Backup le sakte hai.
“Blog ka Template change karne se pahle Backup jarur le”. Agar kuchh problam ho gayi ya aapko new template pasand nahi aaya to fir se aap Backup Upload kar ke blog par purana loock de sakte hai.

2. Choose File :-

Choose File par click karke aapko jo template lagana hai uski File ko aapne computer me jaha Save kar ke rakha hai waha se salect kar add karna hai.

3. Upload :-

Jub aap Chose File ke option se file ko salect kar le to Upload par click kar de aapke Blog me file install hona start ho jayega or kuch hi samaye me aapke Blog me Theme change ho jayega.

Blogger Blogspot me Theme kaise change karte hai. Template upload karne ki jankari aapko kaisi lagi comment me jarur bataye. Is post ko apne dosto ke sath or facebook par share jarur kare.

और पढ़े >>

Blogger Blog Ke Liye Templates Kaisa Hona Chahiye

31, July 2022 by Dharmendra Kumar 16 Comments

Blog me templates kaisa hona chahiye??? Kisi bhi website blog ke liye templates ek main part hota hai tariffic increase karne mai. Agar aap apne blog ka taraffic nahi bada pa rahe to sayd aap blogger templates ko choose karne me koi galti kar rahe hai ya fir aap blogger ka blogspot templates use kar rahe hai. Jiske karn blog traffic jayada nahi la pa rahe hai. Blog ka template change karna jaruri hai. Iske kuch tips yaha bata raha hu.

best template for blog website

Aaj is post mai apne blog or website ke liye kaisa template choose kare iski jankari share kar raha hu. Blogger blog me apni pasand ka template lagane ka tarika me pahle hi bata chuka hu.  Agar aap kisi site se  free website blog templates download karne ki soch raha hai to is article ko jarur pura pade kiyu ki aapko best free blog templates download karne me kafi madad milegi.

  • Top 10 Best Backlink Checker Tools.

Blog Ke Liye Templates Traffic Increase Kaise Karta Hai?

Agar aap sochh rahe he ki how to increase blog traffic template se to batate hai. Hamare blog ya site me jayada traffic cell phone mobile se aata hai kiyu ki samart phone ka jamana hai sabhi log internet ka use mobile me jayada karte hai. kisi bhi post ko search me rank badane ka kam 30% template ka hai.

Agar aapka beautiful blogger templates or fast loading wala hai to bhi traffic improve hoga. Template blogger seo friendly hoga to search engine me rank badegi. Iski puri details niche padne ke bad aapko samaj aa jayega.

  • Top 105 Bookmarking Site List for High Quality Backlinks.

Blog Ke Liye Template Kaisa Salect Kare?

Aap apne blog ke liye premium blogger templates ya free blog templates download kar rahe hai to in feature ka dhyan me rakh kar hi template ko salect kare :-

Mobile Friendly Template Use Kare

Me pahle hi bata chuka hu hamare blog me jyada trafiic mobile phone se aata hai kiyu ki aajkal sabhi log smartphone me net ka use karte hai. Isliye kabhi bhi apne blog me blogger ka default template na lagaye. Blogspot free defult template mobile friendly nahi hota hai or yah old version bhi hai jo dikhne me achhe nahi lagte.

Jub bhi aap apne blog site ke liye template le to is bat ka jarur dhyan rakhe ki mobile friendly template ho get more blog traffic tabhi increase hoga.

  • Blog Par New Post Kaise Upload Kare? Full Guide in Hindi. 

SEO Friendly Template Lagaye

Seo friendy template matlab ki Search Engine Optimization wala template download kare. Agar aapka template seo friendly hai to aapke blog ke sabhi post ki search renk badega or improve traffic hoga.

  • Blog banane ke bad google search engine me kaise submit/add karte hai.

Fast Loading Template Install Kare

Template hamesa fast (juldi) load hone wala hi choose kare is bat ka specily dhyan rakhe. Visitor hamesa wahi blog ya site like karte hai jo fast load hote hai. 4 sec. se kam time me load haone wale site or blog ka traffic hamesa high hota hai. 4 sec. se jyada time me load hone wale par bahut kam visitor aana pasand karte hai. Apki blog ki speed check karke pata kare ki fast hai ya slow.

  • New blog google search me kiyu nahi dikhi deta.

Adsense Redy Template Download Kare

Adsense rady template hona bhi jaruri hai. kiyu ki adsense rady template me pahle se hi adsense ke ads lagane ke space diya hota hai. Ads rady template ki wajah se hame yah sochna nahi padta ki blogger adsense ke ads kaha kaha place kare or kaha nahi lagaye. Isme adsense policy according space diya hota hai isliye adsense templates me ads lagane me koi problem nahi hai.

  • Janiye Blog Me Favicon Kaise Lagaye Yah Blogger Par Kaha Add Hota Hai?

Fully Customized Template Hona Chahiye

Fully customized Theme ka dhyan rakhe matlab ki jo template use kar rahe hai. Inme degine hum apne tarike se set kar sake. kiyu ki aapka blog dikhne me jitna sundar hoga visitor like karega or jub blog visitor ko pasand hai to wah jub bhi kuchh search karega to wapas aapke blog par aana chahega.

Kuchh blogger themes me yah feature nahi hote. Par blogger premium templates free ho ya paid inme theme ko customize kar sakte hai. Free blog templates download jub bhi kare is bat ko na bhule.

Is post ko padhne ke bad aapko samajh aa gya hoga blog ke liye templates free or paid jub download kare to inme kaisa feature hona jaruri hai. how to get more traffic to your blog iska bhi kuchh idea aapko mil hi gaya hoga. Post kaisi lagi comment jarur kare. Kuchh puchhna hai to comment kare.

Read This :-

  • Blogger Blog Ke Domain Bina WWW Kaise Set Kare.
  • Adsense Account Approved Jaldi Kaise Karaye – Top 10 Ideas.
  • Bluehost Vs Hostgator Konsi Best Webhosting Hai – Comparison 2018-2019.
  • Blogger Dashboard Ki Puri Jankar.
और पढ़े >>

WordPress Ya Blogger Blog Ka Template Name Kaise Jane, Pata Kare

16, July 2022 by Dharmendra Kumar 15 Comments

Blogger or wordpress blog 2no me design ka value sabse adhik hota hai. Blog aur wordPress ka template achcha rakhna sabhi chahte hai, Ye idea sahi hai. Achchha template disegin sabhi pasand karte hai. Naviget karna bhi easy rahata hai. Isase blog traffic increase hota hai aur visitor badhte hai. WordPress aur Blogger blog ka template name kaise pata karte hai apko batata hu.

  • Blog me apni pasand ka URL kaise change kar ke lagate hai
  • Blog me without www domain name kaise set karte hai

Jab bhi hum kisi or ki website ya blog dekte hai to usaka theme ka design hame pasand aa jata hai. Dekhne ke bad yahi sochte hai ki aisa degign hamare blog me bhi banana chahiye. Uska template name kaha dhundhe. pata karne ka tarika kiya hai. Kaha se download kare.

blog template name pata kare

Google search me ham kai website par jake is tarah ka template dekhate hai, par milata nahi hai. Find karne ke liye blogger template ke name ki jankari, WordPress ki theme ka name kiya hai. yah sab pata karna hai to is post me aapko theme ka name dhundne ka tarika, Developers ki website ka link kaise pata kare ? Isko check karne ke bare me ek trick share kar raha hu.

Kisi Website Blog Ka Template Name Pata Karne Ka Tarika

Kisi Bhi site me lage huye theme ka name 1 tarike se pata kar sakte hai. Agar blogger template name janna hai to iska method alag hai or wordpress theme name pata karne hai to iska alag method hai. In 2no tariko se malum karna easy hai. Isko kaise jane details batata hu.

  • Blogspot blog me new tamplate kaise lagaye
  • Blogger me lagane ke liye theme kis tarah ka choose kare

WordPress Template Theme ka Name Check Kare.

WordPress theme design ka name check karna bahut saral hai. Isake liye ek website hai . Usko use karke aap WordPress template name jankari le sakte ho. Kaise jane iska method batata hu.

wordpress blog theme name pata kare
  1.  Sabse pahle www.wpthemedetector.com/ click kar ke open kare.
  2. Jis wordPress website blog ke theme ka name janna chahte hai usaka link address ( URL ) dale.
  3. Ab Experience the magic op WPTD! ke option pe click kare. Is blog Ki theme name or sari dtails open ho jayegi .
  4. Jo theme ka name detect kiya hai google search me dalke search kare. aapko ye mil jayegi. Theme download kar le. Apne wordPress blog me theme install kar laga de.

Blogger Template Ka Name Find Kaise kare

Blogger platform use kar rahe hai To template theme name check karna easy hai. Isko findout karne ka tarika dekhiye.

  1. Jis blog ke template ka name aap pata karna chahte hai us blog ko open kare.
  2. Name khojne ke liye blog pe right click kare.
  3. View page source par click kare.
  4. Ab ye blog HTML Code me dusare windows me khul jayenga.
  5. Isame se blog template ka name find karna hai.
  6. Ctrl + F dabaye find box khulega. “ Blogger Template Style “ dalkar search kare.A
  7. Apko blog ke template ka sabhi informetion jaise:- Name, Version , Other, link mil jayegi. Name ko copy kare.
  8. Google search me find kare or download kar ke blog me upload kar lagaye.

kisi bhi website blogspot ka template name kaise jane. Blog me theme name malum karne ka tarika aurKisi bhi website ka theme kaise pata kare ki trick aapko kaisi lagi. Comment me jarur bataye or apne dosto ke sath jankari share jarur kare.

Ye Bhi Padhe:-

  • Top 10 Successful Female Bloggers in India Puri Jankari .
  • Website Blog को Google Search Console में कैसे Add करे.
  • DD Direct Free DTH Set Top Box Repair Kaise Kare.
  • Google Adsense Kya Hai? aur Isko Kaise Use Kare?
और पढ़े >>

Primary Sidebar

कॉपीराइट © 2015–2022 हमारे बारे में सम्पर्क गोपनीयता नीति वापस जाएँ।