Paytm se money ( cash ) transfer karna un logo ke liye vardan sabit ho raha hai, jo log note bandi se paresaan ho gaye. India me abhi paise ki problem ko solve hone me wqt lagega aise me sarkar E-Wallet se cashless transaction karne par jor de rahi hai. Ab to sabhi TV Channels or News paper par mobile se paise bhejne ke liye UPI App, *99# Number aur Paytm ke bare me jankari bataye ja rahe hai. Aaj apko me bata raha hu ki apne paytm money ( cash ) ko bank me kaise transfer karte hai?
Mene apni pichli post me paytm kya hai kaise use kare details me bataya tha. Isko pad kar apka paytm se related sabhi question answer clear ho gaye honge. Agar apne abhi tak is per apni id nahi banai to paytm account kaise banaye hamari post jarur pade isme apko Paytm Id create karne ki informatio mil jayegi.
Paytm Money ( Cash ) Ko Bank Account Me Transfer Karne Ka Tarika? – How To Transfer Paytm Cash To Bank Account?
In this post apko bataunga ki paytm wallet se paise bank khate me transfer kaise kare. Apne abhi tak to iska use online mobile recharge, shopping aur electricity bill pay karne ke liye kiya hoga. But ab isme kuch new feature add ho gaye hai, jiska istemaal aap Paytm se Bank me Money transfer karne ke liye kar sakte hai.
Raed This :- Paytm Kaise Use Kare Hindi Me Janiye.
Paytm Money ( Cash ) Ko Bank Me Transfer Karne Ke Liye Kiya Kare?
Apne bank account me paytm wallet se paise ko transfer karne ka method bahut asan hai. Apne bank account me paise dalne ke liye kuch bate hai jinko jaan lena jaruri hai tabhi aap ye kar sakte hai.
1. Pahle apki Paytm ID 45 days old hona jaruri tha but ab 3 din purani hai to chalega .
2. Paytm wallet me minimum ₹2000 hone chahiye.
3. ₹1000 se kam paise transfer nahi honge.
4. Per day ₹5000 tak Paytm Money Transfer karne ki limit hai.
5. Paytm ka use ek month me aap jyada se jyada ₹25000 rupaye bank me bhejne ke liye kar sakte hai.
6. Paise bhejne ka charge pahle 4% lagta tha but ab agar apki KYC complate hai to 0% charge lagega aur Non KYC wale account par 1% charges apply hai.
Paytm Money ( Cash ) Ko Bank Account Me Kaise Transfer Kare?
Paytm cash back bank account me lene ke liye steps follow kare.
Send Paytm Money To Bank Account
1. Sabse pahle aapko apna Account Balance Transfer ke liye Register karna hoga.
2. Iske liye apne Paytm Registerd Mobile par Message Type kare “TMB” aur “53030” par Send kar de.
3. Confirmation message aane me 48 hours se 7 days tak ka time lag sakta hai. Ek bar Service start hone par kabhi bhi Paytm se Bank me Money Add kar sakte hai.
Can I Get Back Money From Paytm Wallet To Bank Account After Registration?
1. Apni id login kar ke Paytm Wallet me jaiye.
2. Isme Transfer Money To Bank option par click kare.
3. Ab jo page khulega usme apni bank account ki details dalna hai.
- Jitna Amount Transfer Bank me karna hai bhare.
- Apka bank me khata jis name se he wo dale.
- Apna Account Number enter kare.
- IFSC Code submit kare.
- Last me Send par click kar de.
Note :- Agar aapko apne Branch ka IFSC Code malum nahi hai, to Get IFSC Code par click kare or State, City, Branch select kare. Submit ke option par click karte hi IFSC Code automatically add ho jayenga.
4. Jaise send option par click karte hi refund money from paytm wallet to bank account me ho jayega.
Bhai Paytm se money return kese kre
aap kisme money return karna chahte hai, details me bataye tabhi apki help kar paunga
Bhai sahaab bahut achi jaankari de rakhi he thankyu sir
Sir paytm wallet se accaunt me paise transfer karne par accaunt se charge lagta hai
jub mene yah post likha tha tab to 4% charge lagta tha but abhi ka pata nahi lagta hai ki nahi.
Such a great post
Thanks for sharing
Mere Paytm par KYC complete ho gai hai but main bank me money transfer nahi karpa rahaa hu.
ye message aata hai – WE ARE NO LONGER ACCEPTING NEW REQUEST THROUGH OUR APP.
Abhi apko kuch din wait karna hoga uske baad aap bank me mony transfer kar sakte hai.
Sir ji apna contact no bataye pls
Meko vi wallet se bank mei money transfer karna hai
iska tarika mene bataya hai….fir bhi aap apna mail address batawo me apse contact karta hu.
bhut accha laga
Sir mera acnt purana hai but jab Kar rha hoo to aa rha hai ki 3 days/72 hours later
details me batawo or kiya likha aa raha hai.
Sir Maine aaj subah hi 4900 ka tranjection kiya , uska charges 146 rupaye ke aas pass kata gaya
ha wo to katega hi…paytm policy me saf likha hai.
bhai latest update btao kaise bank me rupayee transfer hoga mere wallet me 2000 hai pr ye bank me transfer nai ho rha pls help me
जो स्टेप्स मेने आर्टिकल में बताया आप उस को फॉलो कर के पैसे को बैंक में ट्रान्सफर कर सकते हो.
me Qr se money recived karta hu to vo cash paytm bussiness me jata h or me use kese karu usko phir or ise kese hta pau ga jise vo paytm bussiness me na jaye kbi
bhai abhi mne pase transfer kiye h pase paytm se bank me to paytm se to vo transfer ho gye pr bank se koi sms nhi aya ki pase aaye b h ya nhi
paise transfer karne ke baad MSG kabhi kabhi aata nahi ya bahut der se aata hai.