Jan Aushadhi Yojana ki Jankari in Hindi. PM Modi hamesa Garib or Berojgar logo ke liye nayi nayi Scheme launch karte rahte hai. Narendra Modi ne bahut sari sarkari yojanaye chalai hai. Jinka benefit sabhi logo ko pahle se hi mil raha hai. Aise me ek or New Sarkari Yojana ki sruwat ki hai. Iska name Jan Aushadhi Yojana Abhiyan hai. Is Yojana ka labh un garib janta ko milega jo bimar hone par mahngi davai ka kharcha nahi utha pate. Aaiye Jan Aushadhi Yojana ke bare me jane.
Garib Ko Sasti Davai Mile,Garib Ko Davai Ke Bina Marne Ki Nobat Na Aaye Isliye Pure Desh Me Jan Aushadhi Kendro Ka Abhiyaan Chalaya……..Narendra Modi
Jan Aushadhi Yojana Details in Hindi
Ye Yojana ek Abhiyan hai. Jisme sarkar bharat ki garib janta ko kam keemat par achi Quality ki Medicine uplabdh karati hai. Jo log mahngi Branded Dava nahi kharid sakte unke liye yah yojana bahut kaam ki hai. Jan Aushadhi Scheme Central Pharma Public Sector ki help se Pharmaceutical Department ne suru kiya hai.
Pradhan Mantri Jan Aushadhi Yojana Kya Hai?
Kisi bhi bimari me sabse bada kharcha dava ka hota hai. Aise me arthik pareshani wale garib logo ke pass itne paise nahi hote ki doctors ki likhi costly davai ko kharid sake. Jan Aushadhi Scheme me Generic Medicine di jati hai. Generic davao ki quality branded davao jaise hoti hai. Inki keemat bhi kafi kam hoti hai, jo aam logo ke liye sasti hoti hai.
Isko Bhi Padhe :- Janiye Sukanya Samriddhi Yojana Me Khata Kholne Ka Tarika
What is Generic Medicine in Hindi
Is tarah ki Generic davaye branded nahi hoti. But inke salt or quality barnded davao jaise hi hote hai. Inke name me fark ho sakta hai. Inki price bhi branded davao se bahut kam hoti hai. Kisi branded dava ki keemat RS 100 hai to wahi Salt aur Quality me Generic dava apko RS 1 rupaye me mil sakti hai. Ab to apko pata chal gaya hoga ki Branded Davao aur Generic Davao me kiya anter hota hai.
Isko Bhi Padhe :- Sarkar Se Free Gas Connection Lene Ke Liye Apply Kaise Karte Hai
Benefits of Jan Aushadhi Yojana
- Quality ke sath kam se kam keemat par Davai uplabdh hogi. Iski Garnti khud sarkar ne di hai.
- Bdi se badi Bimariyo ke Upchar ke liye davaiya milegi.
- Janta ko Generic Davao ke liye jagruk karne ka kaam Jan Aushadhi Abhiyan ke dwara kiya jayega.
- Is yojana me Doctors or Government Hospitals ko marij ki parchi me Generic dava likhne ke liye Bound ( Badhya ) kiya jayega.
- Pure bharat me Jan Aushadhi Kendra khole ja rahe hai. Jisse desh ke har nagrik ko sasti dava mil sake.
How to Open Jan Aushadhi Store in Hindi
Who is Eligible for Opening Jan Aushadhi Store
- Koi bhi vyakti jiske pass Pharmacist ki Degree hai
- Hospital
- NGO
- Charitable Trus
- Self Help Groups
- Farmassist
- Doctors or Registered Medical Practitioner
Isko Bhi Padhe :- Mudra Bank Se Loan Lene Ke Liye Kaise Apply Kare Puri Jankari
Government Contribution for Jan Aushadhi Scheme
Sarkar un logo ki arthik madad karegi jo Jan Aushadhi Store kholna chahte hai. Agr apko store kholna hai or apke pass paise ki problrm hai. To chinta ki koi bat nahi hai sarkar Jan Aushadhi kendra kholne ke liye paise ke sath sath or bhi help kar rahi hai.
- Jo log Jan Aushadi Kendra kholna chahte hai unko iske liye 2 Lakh rupaye ki sahayeta ki jayegi
- Jaruri upkaran jaise computer etc ke lene ke liye 5000 rupaye diye jaynge.
- Jan Aushadhi kholne ke liye Apply karne wale SC, ST or Divyang logo ko 50000 rupaye tak ki davaiya Advance me di jayegi.
- Store maliko ko davai par milne wala Margin 16% ka hoga.
- Jneneric davao ki marketing Jan Aushadhi abhiyan ke dwra kiya jayega.
- Jan Ausadhi Jeneric davao ke sath other jeneric davao ko bhi bech sakte hai.
Isko Bhi Padhe :- Cashless Transaction Kaise Hota Hai Janiye
Document Required for Opening Jan Aushadhi Store
Jan Aushadhi store kholne ke liye kya kya document chahiye ?. Aur jan Aushadhi Yojana me apply karne ke liye konse document lagenge ?. Kiya karna hoga ? aap yaha dekh sakte hai.
Presonal
- Aadhar Card
- Pan Card
Institute, NGO, Charitable Trus or Hospital
- Aadhar Card
- Pan Card
- Certificate of Formation
- Registration Certificate
Government/Government Designated Agency
- Department description, Allocate space is provided with the permit to enclose confirmation document.
- Aadhar Card
- PAn Card
How To Apply for Jan Aushadhi Store
Store ke liye apply janaushadhi.gov.in website par jakar Appliction Form Download karna hoga. Usme mangi gayi jankari bharkar bejna hoga. Jan Aushadhi Aavedan Form aisa hoga….
To,
Bureau of Pharma Public Sector Undertakings of India,
IDPL Corporate Office, IDPL Complex,
Old Delhi Gurgaon, Dundahera,
Gurgaon – 122016 ( Haryana )
Dyan rahe agar apne aadhar card ki photo copy sath nahi bheja to apka Jan Aushadhi kendra ka aavedan nirast ( cancel ) kar diya jayega.
Isko Bhi Padhe :- Aise Lagaye Kisi Bhi MP3 Song/File Me Apna Photo
Contact Details of Jan Aushadhi Yojana
Kisi bhi tarah ki information, complaints ya questions ke liye jan aushadhi yojana help line number par call or email address mail bhej sakte hai.
For Jan Aushadhi Store Opening
- Customer Care Executive :- 0124-4556750 (Tel)
- Email ID :- newjas.bppi@gmail.com
- Toll free Helpline :- 1800-180-8080
Jan oshdhi kendr
bhojpuri -Singer & Writer
Pravesh Kumar pyara
9129261977
Help me sir
Namaste Sir,
Sir jo government 2 lakh”s degi .usko aage chalkar sarkar ko wapas nahi na karna padega.Sir janaushadi Block ke ander kaise khola ja sakta hai
Contact No.8808811013
ye paise aap se kisto me liya jayega jaise aap dena chahe.
MERA ALLREDY PHARMACY STOR HAI KYA ME USI ME JAN AUSHDHI KENDRA KHOL SAKTA HU?
nahi aap usme nahi khol sakte.
Sir,
Mai ye store open krna cahta hu eska koi criteria hai kya or kya B-farma D-farma hona jaruri hai kya or applie krne k bad start krne mai kitna time lagta h
B-farma D-farma isme jaruri hai.
and isme procecing me jayda time nahi lagta hai.
Sir
Mera nam Sunil kumar hay sir may abhi bs.c agriculture se kar raha hu to kya May store khol sakte by
Sunil agar aapke pass Pharmacist ki Degree ha to aap jarur Jan Aushadhi kendra khol sakte ho.
mera medical store hai.kya mai usme hi jan aaushdhi khol sakata hu kya? agar nahi to fir kaise kare ? uske liye govurnment ne tarkib nikali nahi kya?