Jio Sim 2G Mobile Me Kaise Chalaye: Dosto mene apni pichli post me bataya tha ki 3G phone me jio sim kaise chalate hai. isse kafi logo ne pada or ye trick use kari. Aaj apko bataunga ki Jio Sim 2G Mobile Me Kaise use karte hai. Agar aap Reliance Jio 4G SIM 2G phone mobile chalana chahte hai, to is post me apko iski puri jankari milegi. Jio 4G sim ko use karne ke liye apko naya phone lene ki jarurat nahi hai. Aap apne old 2G phone me hi Relience Jio ka Top 4G network ko activate kar ke chala sakte hai. Ab agar apke pass purana 2G phone hai to Unlimited Free 4G internet data ka use karne ke liye Jio Sim 2G Mobile Me chalane ki puri details apko batata hu.
Also Read :- Ek Mobile Phone Se Bahut Sare Jio Sim Barcode Generate Karne Ke 2 Tarike
Abhi reliance jio ka happy new year offer chal raha hai jo 31st march tak rahega. Is offer me apko jio ke sabhi service pure 31march tak free istemaal karne ko milega. par is offer ka benefit wahi log le sakte hai jinke pass 4G ya 3G mobile phone hai. par wah log kiya kare jinke pass 4G LTE mobile nahi hai or old 2G Android mobile hai wah log apne 2G phone me Reliance jio 4G sim ka use kaise kare. Agar aap soch rahe hai, ki kiya 2G mobile phone me jio chala sakte hai to aap sahi soch rahe hai. Aaiye jane ki 2G phone ko 4G kaise banaye, jisse ki Jio 4G Sim ko 3G phone me easily use kiya ja sakta hai or internet ki 4G fast speed ka maza le sake.
Jio Sim 2G Mobile Me Kaise Chalaye???
Reliance jio 4G ko 2G Mphone me chalane ki trick bahut simple hai. Iske liye apke pass kiya kiya hona chahiye pahle apko ye janna jaruri hai.
- Apke 2G mobile Phone me WiFi hona chahiye.
- Ek JioFi 4G Hotspot ki jarurat padegi.
JioFi 4G Hotspot Kiya Hai or Reliance Jio Sim 2G Mobile Me Kaise Chalate Hai???
JioFi 4G Hotspot ek WiFi device hai jo reliance jio ne 2G/3G users ke liye jio network use karne ke liye launch kiya hai. yah device itna powerfull hai, ki apke 2G phone ko 4G bana deta hai or isse ek sath 10 mobile phone ko connect kar ke high speed 4G 150mbps data download or 50mbps upload and HD voice calls kar sakte hai. Isse khas kar 2G phone me jio ko istemaal karne ke liye hi banaya gaya hai. JioFi 4G Hotspot apko digital store ya kisi mobile ki dukan par sirf ₹ 1,999 me mil jayega jo naya 4G phone lene ke kharche se kafi kam hai. Sabse achi baat yah hai ki is device me 2300mAh ki battry hai jo 5 se 6 hours ka backup deti hai. Yah itna chota hai ki aap isse apni pent ki jeb me asani se rakh sakte hai.
JioFi 4G Hotspot Se Jio Sim 2G Mobile Me Chalane Ka Tarika???
JioFi 4G Hotspot se 2G mobile me chalane ke liye apko bas is device ko on karna hai. iske baad apne 2G phone ka WiFi on karna hai or dewice search karna hai. WiFi connect karne ke liye apko password dalna hoga jo JioFi 4G Hotspot ke sath hi apko milega. App isse phone connect karne ke bad wah sab feature use kar sakte hai jo ek 4G mobile phone me jio deta hai. Jaise High speed 4G internet jiski download 150mbps or upload speed 50mbps hogi. sath hi free voice call, HD video call or messages kar sakte hai.
Also Read :- Jio Bar Code Generate Aise Kare Reliance 4G Sim Lene Ke Liye
Dosto Jio Sim 2G Mobile Me use karne ki Tricks ke bare me koi sawal hai to aap comment me puch sakte hai. Agar apke pass bhi aisi koi new trick hai ya aap apni koi janakri logo se share karna chahte hai to hame Guest Post bhej sakte hai sath hi is jankari ko facebook jaisi social media par share karna na bhule.
bhai kase chale ga 2g me jio sim
yaha iska tarika mene bataya hai …
kiya jiofi 4g hotspot mai jio ka sim dalna padega.
nahi dalni usme allready sim aati hai.
Please yeh bataye na ki bina jiofi ke 2g phone me kaise dale.
jio fi ke bina aap 2g me jio nahi chala sakte.
sir call kr skte h ya nai
kar sakta hu.
mujhe bina jio fi ke 2g phone me gio sim chalana h
bina jio fi ke 2g me nahi chalega.
internet se paise kase kamaye
iske liye aap yah post read karo….Internet Se Online Paise Kaise Kamaye | ऑनलाइन पैसा कमाने के पॉपुलर तरीके