Adwords Kya Hai? “Adwords advertising services dene waali Internet ki best google ad campaign company hai”. Koi bhi apni site ka ads google adwords ko de sakte hai. Yah google search engine me humari website aur products ke ads show karti hai.
Agar aap apni site ya business ka promotion internet par karna chahte hai to to google adwords ki services use kare. Apni website ko isme add karne ke bad search engine par jab bhi koi aapki site se related jankari ko search karta hai, to google sabse upar aur right side me aapki site ke ads display karta hai.
Is services me ads dene ke bad yah humari website ke ads ko right logo tak pahuchane ka kam karti hai.
Jaise hi koi google par aapki site ke topic se related koi jankari search karta hai, to adwords sabse pahle apki site ke ads show karta hai.
Agar aap apni site ka traffic badhana chahte hai to google adwords ki help se kar sakte hai.
Google Adword Website Ke Liye Kiyo Jaruri Hai?
Agar aap kisi website, Blog ya online shoping site ko chalate hai to usko promotion karne ke liye google advertising service ka use kare.
Adwords site ki traffic badhane ke better tariko me se ek hai. Iska istemal karna bahut easy hai.
Google adwords par account banane ka koi paisa nahi lagta aap free me is par account create kar sakte hai. Is pe aap jub ads denge tab hi paise lagenge.
Google Adwords Kaise kam Karta Hai?
Google adwords ka kam karne ka tarika sabse achha hai kiyu ki yah pay per click advertising services deti hai.
Isme apni site ki ads jodne ke bad jab koi visiters aapki site se related keyword ya jankari google par search karta hai to google search me top par adwords aapki site ke ads show karta hai.
Jub koi in ads par click kar ke apki site tak pahucega to google adwords aapse paise lega. Jub tak ads pe koi click nahi karega to apke paise nahi lagenge.
Kiya Adsense User Apni Site Ke Liye Adwords Ka Istemal Kar Sakte Hai?
Agar aap apni website ya blog par adsense ke ads use kar rahe hai to me suggestion dunga ki aap adwords ka use na kare, kyu ki kharide huye visitors adsense allow nahi karta.
Agar aapko iska istemal karna hi hai to apni site par dalne ke liye top high paying CPC keyword research karne ke liye kare, jisse apko adsense ke ads se jyada income hogi.
Bahut se adwords specialist iske keyword search tool ka use karke apni site se achhi income karte hai.
Isko Bhi Padhe:-
Google Adwords Par Account Banane Ka Tarika.
Steps 1.
- Ab jo page khulega usme apna Gmail id aur password dalkar login kare.
- Apka account ban jayega or adwords ka page open ho jayega.
- Create your first campaign – Yaha click karkeaap apni site ka ads bana kar submit kar sakte hai.
- Keyword Planner – Yaha se aap apni site ke ads ya post content me dalne ke liye top keyword find kar sakte hai.
Dosto ab aap jan gaye honge ki Google Adwords kis liye hai aur yah work kaise karta hai. Agar apke man me koi sawal hai to comment kare. Apke sabhi sawalo ka jawab dene me mujhe khusi hogi.
Ye Bhi Padhe :-
- Janiye Kya Google Drive Me Humara Data 100% Secure Hai.
- Google Adsense Kya Hai? aur Isko Kaise Use Kare?
- Kaise Pata Kare Google Par Ab Tak Humne Kiya Kuch Search Kara Hai.
- जानिए कहां से प्राप्त करें बिजनेस लोन कम ब्याज दरों पर.
- Kisi Bhi Website Owner Ka Mobile Number Aur Information Kaise Pata Kare.
no matching campaign ara hai
apne topic ka keyword use karo ho jayega
Bhai ye service free me he ya koi paise lagte he.
yah service free hai……..agar aap apne product ka koi add google me dikhna chahte hai to apke paise tabhi lagte hai jub apke add par koi click karega
Sir please Mukherjee bataieye ki yadiMaine apne blog per kuchh nahi likes to Mujhe Google AdWords ko payment karna Hoga aur ager haan to payment Kya some pass se ya Google AdWords ko income hogi usme se
google adwprds apse tabhi paise lega jub koi ad aap google me submit karte hai…. yah payment apke google adword me show hota hai… jaise jaise koi visitor ad par click karta hai apke payment me se minus hote jate hai.
bahut badiya artical likha aapne .. kya aap mere site par visit karke bta sakte hai ki main keywors sahi use kar raha hu ya nahi.
apne apna blog badhiya banaya hai usme koi kami nahi hai.
Very useful article …Keep sharings more articles.
Very good information thanks for sharing this post
Google Adword fees kitna leta hai add dikhane ke liye
fix fees nahi hai.
Jo Log Online Ya Offline Business Karte hain. Unke Liye Google AdWords Bahut Hi best Tarika Hai. Apne Business ko prompt karna…
Kyonki, iska use karke ham aasani se apne business ko bahut se logon tak pahuncha sakte hain. So, Bahut Hi Achha Kiya Jo Aapne Iske Baare Me Details Se Information Ko Share Kiya ..
Thanks sir..
बहुत ही उम्दा जानकारी, धन्यवाद ।
very good information Bhai.Hume Apka Yeh article Bahot Achchha Laga hai Bhai good article Bhai…….
THANKS …