Dosto aaj apko bataunga ki gmail par email account kaise banaye. Aaj puri duniya internet se chal rahi hai. Aise me koi bhi online kaam ho Email id ki jarurat padti hai. Aap chahe mobile use kar rahe ho ya laptop computer istemaal karte ho Email Account kitna jaruri hai aap achi tarah jante hai. In This post apko bataunga ki Email Account kaise banate hai? or Email ID kaise banti hai.
Aap job ke liye apply kar rahe hai to waha bhi apse apki email address ke bare me pucha jata hai. Bank account kholne ja rahe hai to waha bhi apse email account ko use karna padta hai. Aise me agar aap net par new hai to apke man me bhi yahi vichar aata hoga ki hume bhi apna google par Gmail account banana chahiye
Gmail Par Email Account Kaise Banaye? Step by Step Hindi Me Jankari
Yaha me apko bahut hi asan tarika email account banane ka batunga. iske sath hi iske bare me kuch aisi jankari bhi dunga jo sabhi email account use karne walo ke liye bahut importent hai.
- Email Account Kya Hoti Hai.
- Google Gamil Par Email ID Kaise banaye.
- Email Account Ko Safe Kaise Rakhe.
- Gmail Account Se Email Kaise Bheja Jata Hai.
Read This :- Google Chrome Browser Se Save Password Remove Kaise Kare
Email Account Kiya Hota Hai ?
Email ka matlab “Electronic Mail” hota hai. Yah ek Virtual ID hoti he. Jiski madad se kisi dusre ki mail address par message, documents ya koi bhi other file attachment kar send kar sakte hai. Yah thik usi tarah kaam karta hai, jaise hum kisi ke ghar koi koi lettar post se bhejte he. Antar sirf itna hai ki apke ghar post dakiya lekar aata hai or email autometic online chala jata he.
Email account ek messenger ki tarah hai. Aap apna gmail account banakar email id or password create easily kar sakte ha. koi bhi email id hamesa is tarha hoti hai ‘yourname@gmail.com’. Isme yourname usernam hota he @ (at the rate) email ka sybol hota he or iske pichhe ka gmail.com se ye pahachan hoti he ki ye kis website se bani he.
Email account banane ke liye bahut sari email websites hai. par inme se kuch best email provider site hai jika aap istemaal kar ke aap apna account create kar sakte hai. Yahoo, Microsoft or Gmail. Hum yaha Gmail account banane ke bare me jange. Yah Google ki best free email service hai or free hone ke sath isse use karna bahut easy hai. koi bhi isko ache tarike se menage kar sakta hai. Cahliye ab jaan lete hai ki email id kaise banaye hindi mai.
Gmail Email Account Banane Ka Tarika
Gmail google ki free service he. isse google account bhi kahte hai. Internet user sabse jyada isko pasand karte he kiyu ki usme id banana bahut aasan he or kai sare fayde bhi hai jo aage ja kar apko khud pata chal jayegi. Ab agar apko email id banana hai, to neeche di gayi steps ko ache se follow kare.
Create email account karne ke liye apko apne web browser me www.gamil.com type kar ke site open karna hoga. Aap direct yaha click kar ke bhi gmail website par ja sakte hai. Site kholne ke bad aage ki steps follow kare.
Jo page open hoga usme Create Account par click kare
Ab ek form khulega, Isme apni details ko bhar kar submit karna he.
- Apna name dalna he.
- Yaha aapko user name dalna he ye apka email address banta he. Username uniqe hona chahiye. Aapne jo username dala he wo pahle se hi kisi or ka email address me he to ek red colour ka “Someone already has that username. Try another?” erar aayega. Jub tak aap koi uniqe username nahi dalenge ye errer aata rahega.
- Isme aapko password dalna he. is password ko hamesa yad rakhna hoga. issi se apka google mail account login hoga.
- Isme aapko wahi password fir se dale jo upar dala he.
- Apna birth date enter kare.
- Gender select kare.
- Mobile number daale. Dhyan rahe wahi phone number submit kare jo chalu hai, kiyu ki apke mobile par ek code ayega jisse account verify karna hoga.
- Agar pahle se koi email address he to dal sakte he ya fir khali chhod sakte he.
- Yaha par screen me dikhai de raha cepcha Type the text wale box me dalna he.
- Terms of service par Tick mark kar de.
- Sabhi details bharne ke bad ek bar check kar le ki kuch galti to nahi hai or Next step par click kare.
Read This :- Aise Pata Kare Ki Apne Google Par Ab Tak Kiya Kuch Search Kara Hai
Ab account verify karne ka ek page khulega. Apko yaha chose karna hai ki aap code apne mobile par kaise lena chahte hai. 2 option milenge.
- Text Message ( SMS )
- Voice call
Apna mobile number daale or Send Message ko select kare or continue par click kar de. Apke mobile par ek message ayega usme ek code hoga. jo account verification process ke liye kaam ayega.
Next step me jo code apke mobile par aaya hai usko text box me daale Continue par Click kar de
Ab aapka gamil account ban gaya he or gmail se apke liye ek welcome page khula he kiyu ki aapne first time gmail account khola he is page me niche ki taraf diye gaye continue par click kar de.
Kisi Ko Bhi Gmail Account Se Email Kaise Bheje ?
Apna email account khole or Compose par Click kare.
- To: yaha uska Email address daale jise aap mail bhejna chahte hai.
- Cc: Yaha par uska email address daal sakte hai jisko mail ki carbon copy bhejna chahte hai. ya fir isse khali chod sakte hai.
- Bcc: isme us persion ka email address daal sakte hai jisko aap duplicate ki duplicate copy bhejna chahte hai.
- Subject: Yaha se aap mail se related topic dake.
- Attachments: me aap wo email ke sath wo file add kar sakte hai jo bhejna chahte hai.
Ab aap box me mail type kar sakte hai. Iske bad Send ke option par click karde. Aapka mail send ho jayega.
Apna Email Account Safe Kaise Rahke
Ab apne apna email account bana liya or isme mail kaise beja jata hai tarka aa gaya. but sabse jaruri hai isse safe rakhne ki. Kiyu ki apki ek choti si galti apka email account hack karwa sakta hai. Apki mail account ki privacy leak hone ke baad koi bhi iska miss use kar sakta hai. Chaliye thoda yah jaan lete hai ki Gmail email account safe and secure kaise rakhe.
- Apna usernam or password kabhi kisi ko na bataye.
- Hamesa strong password rakhe.
- Apna kaam khatam karne ke bad Sign out karna na bhule.
- Kabhi bhi kisi website se apne account me login na kare gmail.com par hi login kare.
- Kabhi bhi Email account ke password ko Web browsers me save kar ke na rakhe.
- Hamesa yaad rakhe Spam email me attached link ko na khole.
Agar aap in sabhi email security tips ko follow karenge to kabhi bhi apka account hack nahi hoga.
Gmail par Email Account Kaise Banaye aap jaanchu ke hai. mene jo bataye hai woh sabhi bate hamesa dhyan rakhe. Agar apko kuch puchna hai ya account banane me koi problem aa rahi hai to comment me batye. Sath hi humse jude rahne ke liye hamara Facebook Page Digital New Hunt Like karna na bhule.