Blog me Favicon kaise lagaye, Aaj mai aapko iska tarika bata raha hu. Blogger me kaise lagaye aur kaha add hota hai. Iski puri jankari aapko details me pata chal jayegi. Favicon lagane ke bad blog professional look me dikhai deta hai. Aap apni pasand ya apne blogspot site ke name ka icon yaha laga sakte hai. Ye bahut hi acha tarika hai apne blog ki pahchan banane ka.
Raed This:-
1. Blog kiya hota hai or banate kaise hai
2. Google par free website kaise banaye
Favicon Kiya Hai?
Isn ka full name Favourite Icon hai. Ye site ka icon hota hai. Isko aap browser me upar site ke tab me dekh sakte hai chota sa icon show ho raha hoga. Niche image me dekhiye aapko samajh aa jayega. Blogger ka apna defult favicon hota hai. Isse apni pasand ke logo design kar ke chang kiya ja sakta hai. Aap jub bhi isse add kare to iski image size 16×16 pixels ka hi lagaye.
Blog Me Favicon Kiyu Lagaye?
Blog Me Favicon Kaise Banaye?
- Image ya logo ko choose file me apne PC se select kare.
- Generate only 16×16 favicon.ico par tik kare.
- Yah sab karne ke baad Create Favicon ke tab par click kare.
Ab ye complate hai, App lagane ke liye download kar sakte hai.
Blogger Me Favicon Kaise Add kare?
Sabse pahle blogger.com pe login kare. Deshboard me jakar layout par click kare. Usme aapko favicon name se ek widget milega.
Widget me edit link par click kare. Ek new window open hoga.
- Choose File par click kar.
- Humne jo favicon download kiya tha use select kare.
- Ab hamara favicon upload hona suru hoga wait kare.
Ab aapko ek kam or karna hai warna aapki puri mehant bekar jayegi. Layout me jo option hota hai Save arrangement ka usko click karke layout save kar de. Or page refresh kare.
Congratulations!! aapke site me ye add ho gaya hai. Apne blog ko open karke chack kare ki yah kaise dikhta hai. Apki site ek professional website ki tarah dikhega.
Aaj aapne jana ki blog me favicon badlne ka tarika. Isko lagakar attractive website kaise banate hai. Agar blogging se related sawal puchna chahte hai to be jijhak comment kare. Mujhe aapke sabhi sawalo ka jawab dene me khusi hogi.
Yah Kuchh Usefull Article Hai Jarur Padhe:-
1. Agar custom domain ka DNS Record delete ho jayeto kaise pata kare
2. Kisi bhi non removal widget ko delet karne ka easy tarika
3. Kisi bhi website ke tamplate name pata kare pal bhar me
4. Adsense account ko fast approved kaise karaye tarika janiye
5. Blog ke liye template kaisa hona chahiye janiye
sir mere website par ek bar visit kare agar koi problem hai to plz suggest kare
Koi problem nahi hai aapke site mme.