Dosto aaj hum Bharat Interface for Money Kya Hai aur Cashless Transaction ke liye Bhim App me Account Kaise Banaye ke bare me Step by Step puri jankari denge.
Mobile phone ka istemal Social Media par chats, Video dekhne, aur Selfi lene ke sath Banking me bhi ho raha hai. Android ho ya koi simple mobile ye ab sabke liye bahut importent Device ban gaya hai.
Apka phone ab ek Bank banne ja raha hai, isse aap Online Payment kar sakte hai. Kisi ke bhi Account me Money Transfer kar sakte hai. Aur yah sab hoga Mobile Application ki madad se. Aaj apko Phone Me Bhim Aap Kaise Use Kare aur isase Paise transfer Kaise karte Hai chaliye batate hai.
BHIM App Kya Hai? in Hindi
Bhim full form Bharat Interface for Money hota hai. Bhim App ko National Payment Corporation of India ( NPCI ) ne banaya hai. 30 December 2016 ko Pradhan Mantri Shree Narendra Modi Ji ne ise Launch kiya hai.
Yah App Unified Payment Interface ( UPI ) par kaam karega. UPI App ek payment system hai jo mobile se apne bank khate se direct paise ka len den kar sakte hai.
Isko log Modi App ke nam se bhi jante hai kiyu ki yah Cashless Transaction or Digital India ka bahut Importent hissa hai. Isse istemaal karne ke liye Android mobile phone me Download kar ke Install karna hoga.
Uske bad Bhim App me Register hokar apna Bank Account Connect karna hoga iske bad cashless transaction kar sakte hai. Aap isse Hindi or English dono language me chala sakte hai.
Bhim App Ke Fayede
- Yah Without Internet kaam karega.
- Paise lene dene ke liye har bar Bank Details or IFSC Code ki jarurat nahi padegi.
- Ek bar hi BHIM App me Apna Bank Account Register karna aur ek UPI Code Register karna hoga.
- Apna bank balance Check kar sakte hai.
- Bhim App se Money Send Transfer karne ke liye Bank details dalne ki jarurat nahi. Aap Bank registerd mobile number Add karke bhi paise transfer kar sakte hai.
- QR Code scan karke bhi aap kisi ke account me paise bhej sakte hai.
- Is App ko aap sirf Android or ISO me istemaal kar sakte hai.
How To Bhim App Download And Install?
Apne mobile phone me Bhim App ko Download karne ke liye Google Palye Store par jana hoga. Aap chahe to yaha se is link par click karke bhi direct apne Android Smart Phone me BHIM App Download kare.
Read This :– Pradhan Mantri Mudra Yojana Se Loan Lene Ke Liye Bank Me Kaise Apply Kare?
Bhim App Mobile Me Use Kaise Kare?
Mobile me Bhim App Use karne ke liye apko Bank me Registerd Mobile Number ko connect karna hoga. Iska tarika step by step bata raha hu aap ache se samajh kae follow kare.
Method: Bhim App Me Account Kaise Banaye?
Note :- Aage badne se pahle bata du agar aap dual sim use karte hai, to apne phone ke 1st sim slot me Bank Registred Mobile Number ki sim rakhni hai and 2nd sim ko off rakhna hai. Aisa isliye ki Bhim App par Mobile Number Verification me koi Problem na ho.
Steps: Install and Create Bhim UPI Id
1. Sbase pahle Google Play par jakar phone me Bhim App Install kare.
2. Install hone ke bad open kare. English ya Hindi apni pasand se koi ek Language Select kare.
3. Ab Welcome Page khulega usme Next par Click kare.
4. Agle page me BHIM App se kiya kiya kaam kar sakte hai? iske bare me bataya jayega phir se Next option par Click kare.
5. Ab apko apna Mobile Number Verify karna hai. Iske liye Let’s Get Started pe click kare.
6. Yaha apko Number Verify ki process puri karni hai. iske liye Next par click kare.
7. Ek Mesage Send hoga aur Autometic apka number verify ho jayega.
8. Apna bank name Select kar ke Mangi gayi Details submit kare iske bad aap BHIM App se Money Transafer kar sakte hai.
How to Setup UPI PIN on Bhim App?
UPI PIN ka matlab UPI Personal Identification Number hai jo 4-6 digit ka secret code hota hai. Jub bhi aap koi Transactions karenge isko enter karna padta hai. UPI Pin Set karne ke liye steps follow kare.
Bhim UPI PIN Generate Kaise Kare?
1. Bhim App Open kare.
2. Bank Account par jaye.
3. Reset UPI PIN par click kare.
4. Debit Card Number ke last 6 Digits aur Validity Date Enter kare.
5. Submit karne par apke mobile ke Message Box me OTP ( One Time Password ) ayega.
6. OTP Enter karne ke bad submit kare.
7. Ab aap apna UPI PIN Set kare jo 4 Digits me hona chahiye jaise ATM ka pin hota hai.
Read This :- Janiye Paytm Par Account Kaise Banaye
Supported Banks List
Kon kon se Bank ke liye isse use kar sakte hai, aur is app ko Support karne wale bank name ki list niche dekh sakte hai.
- Allahabad Bank
- Andhra Bank
- Axis Bank
- Bank of Baroda
- Bank of Maharashtra
- Canara Bank
- Catholic Syrian Bank
- Central Bank of India
- DCB Bank
- Dena Bank
- Federal Bank
- HDFC Bank
- ICICI Bank
- IDBI Bank
- IDFC Bank
- Indian Bank
- Indian Overseas Bank
- IndusInd Bank
- Karnataka Bank
- Karur Vysya Bank
- Kotak Mahindra Bank
- Oriental Bank of Commerce
- Punjab National Bank
- RBL Bank
- South Indian Bank
- Standard Chartered Bank
- State Bank of India
- Syndicate Bank
- Union Bank of India
- United Bank of India
- Vijaya Bank
BHIM App se Paise Transfer Kaise Kare?
- Send Money to Aadhaar Number
- Send Money to Mobile number
- Send Money via Payment Address
- Send Money through IFSC code, Account No
- Send Money through MMID
- Scan QR Code for Merchant Payments
Read This :- Aise Kare Apne SBI Bank Account Se Online Paisa ( Money ) Transfer.
BHIM App Se Money Transfer Karne Ka Tarika
- Bhim se Paise Send karne ke liye App Open kare or Send Money par click kare.
- Jiske Bank Khate me Money Transfer karna hai, uska Mobile Number, Aadhaar Card Number ya Payment Address daale.
- Jitna Amount Transfer karna chahte hai wo add kare.
- Apna Banm Account Choose Kare aur UPI PIN mangne par enter kare.
- Bhim App me Linked Account Number Show hoga usko select kare.
- Ab Send Money Option par click kare Money Transfer ho jayegi.
How to Money Request from BHIM App?
- Request Money ke Option par Click kare.
- Mobile Number or Payment Address Enter kare.
- Jitna Money Request karna hai utna Amount daale.
- Ab last me Send par click kare or ye ho gaya apka Money Request.
BHIM app Se QR Code Scan Karke Payment Kaise Karte Hai?
- Bhim App Open kare aur Scan & Pay ka ek Option hai uspe Click kare Camera khul jayega.
- Jisko Bill Payment karna hai uska QR Code scan kare.
- Ek Beep ka Voice ayega bas ho gaya apka pyement.
FAQ – Frequently Asked Questions
Q. 1 – Transection karne ki Limit kitni hai ?
Ans. – 24 hours me Minimum 10,000 aur maximum 20,000 ruppy Transfer kar sakte hai.
Q. 2 – App Use karne ka Charge lagega?
Ans. – Yah app free hai iske istemaal karne ka koi Charge nahi lagta.
Q.3 – Kiya BHIM App kisi bhi Mobile me Use kar sakte hai?
Ans. – Abhi sirf Android aur IOS Device ke liye Available hai. But juldi sabhi Devices ke liye available ho jayega.
Q. 4 – BHIM App chalane ke liye Internet Banking Activate karnia jauri hai?
Ans. – Net Banking ki jarurat nahi hai. BAs apka Mobile Number apke Bank Account me Registers hona chahiye.
Q. 5 – Kiya BHIM App se Money Transfer karne ke liye Internet Data hona jaruri hai?
Ans. – Nahi iske liye Net ki jarurat nahi hai. kyu ki yah app bina Internet bhi use kar sakte hai.
Q. 6 – Kya is App par ek se jyada Bank Account Add kar sakta hu?
Ans. – Abhi sirf aap ek hi Bank Account Connect kar sakte hai.
Abhi aapne jana Bhim App Ki Jankari aur Mobile Me Use karne Ka Tarka Ise related agar apko kuch puchna hai ya BHIM ID banane me problem hoti hai. Aap comment kare, puri help ki jayegi. Is article ko apne dosto ke sath or Social Network Site par share karna na bhule.
Ye Bhi Padhe:-
Bhim app ka refer karme se paise kma sakte hai