Android phone ka camera achhi quality wale ho sabhi ki pahli pasand hoti hai. Badhiya photo capture or high definition video banana ab har kisi ke bas ki baat hai. par kya aap jante hai kuch aise majedar or 8 Interesting smartphone camera tricks hai jo apke kai kaam aa sakta hai.
Aap apne mobile camera se aise bahut se kaam kar payenge jiske bare me apne kabhi socha bhi nahi hoga. Aaiye jaane ki wo kon kon se trick hai jiska istemaal kar aap videos or photo ko intersting banane ke liye karenge.
Contents
- 1 Interesting Android Phone Camera Tips and Tricks
- 1.1 1. Camera ko Banaye Barcode Scanner.
- 1.2 2. Interesting Smartphone Camera Tricks Security Camera banaane ke liye.
- 1.3 3. Smart Phone Camera se Location Pin Point Kare.
- 1.4 4. Smartphone Camera Trick for Language Translator.
- 1.5 5. Android Mobile se Documents Scanning aise kare.
- 1.6 6. Mobile ke Camera se Tare Dekhe.
- 1.7 7. Android Phone ke Camera se Virtual Search kare.
- 1.8 8. Smartphone Camera ko Remote Control Testing Tool Banaye.
Interesting Android Phone Camera Tips and Tricks
1. Camera ko Banaye Barcode Scanner.
Jub bhi aap koi product kharidte hai to unme se kuch par ek barcode diya hota hai. Is baar code me product ke bare me puri details di gayi hoti hai. Barcode ko decode karne par sabhi jankari pata chal jati hai. par is ko decode karne ke liye barcode reader ki jarurat padti hai jiski price 700 se lekar 2000 tak hoti hai.
Phone ke camera se barcode aur QR codes scan asaani se hota hai. Kisi product ke bare me jankari chahiye to uske baar code ko scane karna padta hai.
Ajkal ke latest smartphone me Barcode reader or QR code reader software pahle se diya hota hai. Agar apke phone ye software nahi diya gaya, to aap Iske liye Barcode Scanner or QR & Barcode Scanner jaise android apps ko phone me install kar ke phone camera ko bar code scanner bana sakte hai.
2. Interesting Smartphone Camera Tricks Security Camera banaane ke liye.
Agar apke pass ek aisa old smart phone hai jisse ab aap use nahi karte par wo sahi condition me ho. to is purane smartphone ko scurity camera me badla ja sakta hai. Phone ko cctv camera me convert kaise karte hai iske bare me mene apni ek post me bata diya hai.
Phone camera ko security camera banane ke liye Home Security Camera ya IP Camera apps download karna hoga. Iske baad phone ko wifi or internet se jod kar usko surashit sthan par rakh de. Dusre smartphone ya computer par us phone ke camera se dikh rahi live feed video dekhe ya record kare.
3. Smart Phone Camera se Location Pin Point Kare.
Aap kisi aise anjaam jagah par ho jiske pare me apko jankari nahi hai. Us jagah ki puri details apne phone se pata kare. Kai aise apps hai jinse apne aaspaas ki location ko point kar sakte hai. Camera me jo jagah dikh rahi hogi uske baare me jaankari mil jayegi.
Iske Yelp aur layar app iske liye kafi upyogi hai. Bas apko in aap ko apne smartphone install karna hai. Uske bad jaise hi yah app open karenge phone camera open ho jayegaaap jaha par khade hai waha ki location trace karke us jagah ki jankari or aaspas kiya kiya hai sab bata dega.
4. Smartphone Camera Trick for Language Translator.
Logo ko videsi bhasa samjhne me paresani aati hai. Kisi bhi other language ko apni bhasa me samjhne ke liye google app ki madad li ja sakti hai. Aap jis bhasa ko padna nahi jante usko apne camera ki madad se anuvad kar ke samajhe. Kisi bhi language ko apni bhasa me translate karne ke liye phone me language translator app download karna hoga.
App download karne ke baad sing board par likhe word ya other language text ko hindi ya kisi other language me translate karne ke liye app open kare or usme bane camera icon par click karte hi apke phone ka camera open ho jayega. usse apko jo bhi apni bhasa me translate karna hai uska image capture kare. Iske baad us image ke sabhi word ko yah app apki bhasa me convert kar dega.
5. Android Mobile se Documents Scanning aise kare.
Aap apne smartphone camera ko scanner ki tarah istemaal kar sakte hai. Aap isse kisi bhi tarah ke document ko scan karne ka scanner bana sakte hai. Aur documents ke text edit bhi ho jayenge. Google drive ke android app me bhi scanning functionality hai. Agar yah app apke phone me pahle se hai, to apko alag se koi app download karne ki jarurat nahi padegi.
IOS user Evernote Scannable App ka istemaal kare. inke alawa CamScanner App aur Scanbot App bhi istemaal kiya ja sakta hai. CamScanner me kai aise features hai jo documents scaning ke kaam ko asan bana dete hai. Yah app achhi quality me scan kar ke document ko pdf me convert karta hai. Iske alawa aap document ko export karna chahenge to wo ho jayega..
6. Mobile ke Camera se Tare Dekhe.
Waise tare dekhne ke liye telescope ka istemaal kiya jata hai. Par aap apne phone ke camera ko telescope bana kar tare dekh sakte hai. Iske liye apko apne phone me SkyView App install karna hoga.
SkyView app install karne ke baad open kar ke phone camera ko aasman ki taraf kare. Sky me maujud ek ek tare ko dekh kar unko pahchan sakte hai. Tare dekhne ke android app Wikitude or Blippar ko bhi istemaal kare, ye dono apps bahut kaam ke hai.
7. Android Phone ke Camera se Virtual Search kare.
Kai bar aisa hota hai ki hum aise kisi chiz ki tasvir dekhte hai, jiski jankari hame nahi hoti. Uske bare me pata nahi hota ki ye photo kiski hai. Aap apne camera se pata kare ki ye kis chiz ki image hai.
Google goggles app se images ko khoj sakte hai. Agar apne kisi product ki tasvir li hai to wah usse search karke batayega ki wah kis chiz ki tasvir hai. Sath hi us tasvir me koi text hoga usse bhi highlight kar dega. Yah aap kisi bhi image ki jankari to deta hi hai, sath me barcode or QR code scanner ka bhi kaam karta hai. Yah apne aap me ek multiple use app hai.
8. Smartphone Camera ko Remote Control Testing Tool Banaye.
Kai baar aisa hota hai apke tv, dvd ya other device ka remote achanak kaam karna band kar deta hai. aise me aap apne smartphone camera ko remote checking tool ki tarah istemaal kar sakte hai. Remote sahi hai ya kharab ke bare me phone se pata laga lenge. Iske bare me aap mobile se remote ke kharab hone ka pata karne ki trick post jarur padhe.
Is post me apko pura tarika samajh aa jayega ki kaise remote ke kharab or sahi hone ka pata lagate hai. Iske liye apko remote ka sensor phone ke camera ke samne rakh kar remote me koi bhi botton dabaye. Agar camera me sensor ki light biling karti dikhe to apka remote sahi hai.
Dosto apne yaha top 8 Interesting Smartphone Camera Tricks ke bare me jana. Apka koi sawal hai to comment kare. Is website par aane wale latest trik ko apne facebook par pane ke liye like kare facebook page digital new hunt sath hi is article ko share karna na bhule.
Samsung phone ka paasword nahi kul raha hai
modal number kiya hai