Dosto aapko facebook page ke bare me to pata hi hoga aur ye kisi bhi website blog ke liye kitna jaruri hai yah bhi jante honge. Aaj is post me apne Blogspot blog par facebook page like box widget kaise lagaye iski jankari share kar raha hu, Isko lagane ke bad apki site se hi page ko direct like kar sakta hai.
Blog Me Facebook Page Like Box Widget Ko Lagane Ke Fayede
Blog me facebook widget add karne se bahut benefits hai. yah page widget traffic badane ka best way hai. Jub bhi Visitor aapke blog par ayenge to unko apka blog ka post pasand aaya to wo direct blog se hi apka page ko like karenge. Jab bhi aap apne new post ko facebook par share karenge to aapke fans ko pata chalega wah apki puri post padhne blog pe jarur ayenge. Isse visitors badhenge aur blog ka traffic increase hoga.
Blog Par Facebook Like Box Kaise Lagate Hai
Facebook page box ko blog me kaise add kare, iske liye jo step me bata raha hu usko ache se samjh kar follow kare.
Step 1.
Sabse pahle niche diye gaye code ko copy kare.
<iframe src=”//www.facebook.com/plugins/likebox.php?href=http://www.facebook.com/digitalnewhunt&width=300&height=258&colorscheme=light&show_faces=true&border_color&stream=false&header=false&” style=”border:none; overflow:hidden; width:292px; height:258px;” ></iframe>
- Is code me Yellow Color se highlight kara gaya link ko apne facebook page ke link ( URL ) se replace karna hai.
- Agar aapko Facebook page ka link pata nahi hai, to apne page ko open karo browser me jo url hoga usko pura copy kare yahi apke page ka link hai.
Step 2.
Ab is code ko apne blog me add karna hai, iske liye Blogger.com par jaye.
- Layout par click kare.
- Iske bad Add a Gadget par click kare
Step 3.
Ek popup window khulega usme HTML/Javascript par click karna hai.
Step 4
Is popup window me new page khlega usme apko copy kiya gaya code paste karna hai..
- Title – Isme widget ka tital daal sakte hai. agar chahe to isko khali bhi chhod de.
- Content – Isme aap copy kiya gaya facebook page like box ka code paste kar de aur mere facebook page ke link se apna FB page ka link badlna na bhule.
- Save – Sab karne ke bad last me save par click kar de.
Dosto facebook page like box ko blog me lagane ka taika bahut easy hai. isko aap apne blogspot blog me lagaye aap khud iske fayede jan jayenge. Agar apko kuchh puchna hai to mujhe comment me bata sakte hai. Is article ko apne dosto kesath share karna na bhule.