Aaj is post me hum aapko Android Mobile Par Voice Typing Kaise Kare? ke baare me jankari dene ja rahe hai. Yadi hum apne mobile me bina word type kiye hi sirf bol kar kuchh bhi likhe to kitna achha ho. Jaise ki koi msg type karna hai to, Internet par kuchh search karna hai to or email bhejna ho etc. Hum kuchh bhi bole or wo hamare mobile me autometic type ho jaye wo bhi hindi me to kitna achha ho.
Aaj is post me aapke sath jo jankari share kar raha hu Isme aap janege ki apne android mobile me bol kar kaise type kiya jata hai. Aap chahe to hindi me blol kar typing kar sakte hai. jo trik aap logo ko bata raha hu isme aap hindi english or sabhi language me bol kar likh sakte hai. Mobile me bol kar likhne ke liye aapko kiya karna hoga me step by step samjhata hu.
Android Mobile Me Voice Typing Kaise Kare?
Android me bol kar likhne ke liye mobile me ek tool install karne ki jarurat hai, iske liye aap in step ko follow kare.
Step 1.
Sabse pahle apne mobile ke google play stor me jakar “hindi google input” likh kar search kare or ‘Google Hindi Input’ ko download kar ke install kar le.
Step 2.
Step 3.
Sabhi option ko select karne ke bad niche ki taraf “Speech Voice Search” ka option hai us me jaye or Languages par click kar ke sirf hindi language ko select kare or baki sabhi language ko unselect kar de or isko save kar de.
Ab aapke Android Device me Voice Typing Enable ho gaya hai. Ab aap jo bhi bolenge wah autometiclly aapke mobile me hindi me typing ho jayega.
Android Mobile Me Bol Kar Likhne Ke Liye Kiya Kare?
2. Is icone par click kare speech to write ka optin khul jayega aap jo bhi bole yah hindi me type karta jayega.
Ab aap jub chahe apne mobile me bol kar kuch bhi likh sakte hai. Par dhyan rakhe ki is feature ka use aap tab kar sakte hai jub aapke mobile me internet chal raha ho kiyu ki yah tool tabhi kam karta hai jub net on rahta hai.
Dosto mujhe ummid hai ki Mobile par Voice Typing karne ka tarika aap ke liye helpfull hogi. Agar aapko kuchh puchhna hai to aap mujhse Comment kar kepuchh sakte hain. Aapke sabhi sawalo ka jawab dene me mujhe khusi hogi. Digital New Hunt ke taza updet pane ke liye aap hamara Facebook Page Digital New Hunt like karna na bhule. Ya aap hamara Facebook Group Digital New Hunt Join kar sakte hai.
Ye Bhi Padhe :-
Sir offline Hindi me bolkar type karne ke liye kya koi upay hai to please bataye…mera email id pyagyanarayan@gmail.com
sir my bahra hu my thik se sun nhi pata hu , kya is tarika se my apne dosto se baat kar sakta hu jaisa wo bole or mere mobile me uska voice likha jaye jisse mujhe baat karne me asani hoga , sir koi tarika batye doctor se bahut chesk up kiya but thik nhi ho raha h mera kan kya kru .
Kiybord me voice kease laye
usme option hota hai check karo.