Airtel Payment Bank Account Kaise Khole – एयरटेल पेमेंट बैंक की पूरी जानकारी: Airtel india ki sabse popular mobile network company hai. Yah apne customer ke liye hamesa nayenaye best plan lekar aati hai. Iski service itni achi hai ki ye users ke har baat ka khyal rakhte hai. Ab apne service ka dayra badhate huye isne desh ke pahle Airtel Payment Bank ki suruwat kar di hai. Is tarah ka pahla bank rajasthan me khula hai. Airtel payment bank kya hai or isse hum kiya kiya use kar sakte hai iski puri details bata raha hu.
Desh me not bandi ke bad se hi sabhi badi compniyo ne apne apne customer ke liye paparless or cashless transction ki suvidha dene ke liye e-wallet jaise app launch karne lage hai. Aise me Bharti Airtel Limited kaise piche rahti. isne bhi apna bank start kar diya jo ek tarah se kisi bhi mobile company ne 1st kaam kiya hai. aapko iske nam se hi pata chal gaya hoga ki Airtel bank ek banking system hai.
Ab sawal ye hai ki yah bank kis tarah se kaam karega, isse hume kya fayede honge, Airtel pyement bank me account khulwane ke bad hi isko use kara ja sakega, jis tarah sabhi banko me paise ka len den hota hai isme bhi ussi tarah se paise jama or nikal sakenge. In sabhi sawalo ka jawab apko yaha mil jayega.
Airtel Payment Bank Kiya Hai ? – What is Airtel Payment Bank ?
Yah airte mobile company ki ek bank hai jo abhi abhi launch hui hai. iska work bhi sabhi bank ki tarah hi hai. airtel bhi india ko cashless banane me apna yogdan dena chahta hai. yahi wajah hai ki 1st time kisi mobile oprater ne apna bank khola hai.
Also Read :- Airtel Number Ki Call Record List Kaise Nikale
Airtel payement bank me bhi apko sabhi banko ki tarah suvida milegi. aap isme mony deposit kara sakte hai or money transfer kar sakte hai. Airtel bank account khulwane par banko ki tarah hi ATM or Debit Card milega. Iska use online shoping or ATm Machine se paise nikalne ke liye kar sakte hai. Philhal abhi yah suvidha suru nahi ki gayi hai isme thoda time lag sakta hai. Kiyu ki abhi pure india me Airtel Payment Bank ki Branches khulni baki hai.
Benefit of Airtel Payment Bank
Payement bank me khata khulwane ka sabse bada fayeda yah hai ki isme seving account par 7.25% interest rate diya ja rahahai. Ye bahut jayda hai, kiyu ki other bank ke bachat khato par apko 4 se 6% ka byaj milta hai. Iske alawa aap Airtel Payments Bank Savings and Wallet account ko manage kar ke kisi ke bhi bank account me money transfer kar sakte hai, online shoping, mobile & DTH recharge, postpaid & broadband bills pay jaise feature ka use kar sakte ha or sath hi jarurat padne par apne paise ko nikal sakte hai.
Also Read :- Jan Aushadhi Kendra Kaise open Kare
Document Required of Airtel Payment Bank Account Opening
How to Open Airtel Payment Bank Account ?
Airtel Bank Account kaise khole baut easy hai. Account kholane ke liye aadhar card ke sath apne najdiki airtel retail outlet pe jaana hoga. Account open karne ki process paperless hai. KYC form computerized bhara jayega. Apka finger scan kar ke 3 minute me account khol diya jata hai.
Also Raed :- Pradhan Mantri Ujjwala Yojana Gas Connection Lene Ka Tarika
Use Airtel Payment Bank App
Account manage karne ke liye apko apne mobile phone me airtel payment bank app download karna hoga. Jo apko google play store par My Airtel App ke name se milega. Download karne ke liye yaha Click Kare.
Mobile me app install karne ke bad airtel mobile number ya koi other number se registration karne par OTP verify process puri karni hoti hai or apko login karne ke liye username password mil jata hai. Uske baad aap apna account app me access kar sakte hai. Aap app par apna balance check or banking se related sabhi kaam kar sakte hai.
Airtel Payment Bank Website, Toll Free Number, Email or Address
Website
Toll Free Number and Customer Care
Address
Airtel Center, Plot No. 16,
Udyog Vihar, Phase – IV,
Gurugram – 122015
Comment:manbodh munda ka airtel account kholna hai
diye gaye tarike ko follow karo
Airtel payment bank me accountable bnane ke bad paise lete hai
Airtel payment bank me accountable bnane bad paise lete
Sir ji,mujhe airtel mob.no.ki December or January month ki cal detail chahiye,sim ather men ke pass
jis sim ki details aapko nikalni hai us par ek onetime password aata hai. agar wo apko mil jaye to apka kaam ho sakta hai.
Kya me apne se account khol sakta ho airtel aap se
Pinku aap apne se account khol sakte ho.
Sir Me jab artel sim me recharge karta hu to netbanking se to sbi bank dikhta he or vodafone sim me recharg karta hu sbi net banking nhi aata help me sir..
Sir Me jab artel sim me recharge karta hu to netbanking se to sbi bank dikhta he or vodafone sim me recharg karta hu sbi net banking nhi aata help me sir..
sayad vodafone me sbi ka option nahi hoga… aap apne netbanking me login hokar bill payment me jakar bhi vodafone ka recharge kar sakte ho..waha apko sabhi oprater ke recharge ka option milega.