• Skip to primary navigation
  • Skip to main content
  • Skip to primary sidebar
Digital New Hunt

Digital New Hunt

इंटरनेट की जानकारी हिंदी में!

  • ब्लोगिंग
    • वर्डप्रेस
    • ब्लॉगर
    • एसईओ ( SEO )
    • ऐडसेंस
    • यूट्यूब
    • ईमेल
  • सोशल नेटवर्क
    • फेसबुक
    • ट्विटर
    • व्हाट्सएप्प
  • मोबाइल
    • एंड्राइड
    • रिलायंस जिओ
  • टिप्स & ट्रिक्स
    • पेटीएम
  • टूल्स
    • HTML to XML Converter
    • ऑनलाइन हिन्दी टाइपिंग
    • Words and Characters Counter Tool
  • लाइफस्टाइल
    • कोरोना अपडेट
    • स्वास्थ्य
Home » ऐडसेंस » Adsense Me Bank Account Kaise Add Kare? Step by Step Puri Jankari

Adsense Me Bank Account Kaise Add Kare? Step by Step Puri Jankari

13, October 2020 by धर्मेन्द्र कुमार 5 Comments

Dosto is pot me hum Adsense Me Apna Bank Account Kaise Add Kare Ke Bare Me Puri Jankari bata rahe hai. Website (Blog ) se kamaye gaye paise pahle Google adsense hmko Electronic Funds Transfer (EFT) and Check ke throw payment karta tha. Ab Adsense Payment Methods change ho gaya hai. Isme direct bank account me money trasfer karne ki service available ho gayi hai.

Aap adsense Wire Transfer To Bank service se direct aapke bank account me paise le skte hai. iske liye aapko apna Bank Account Google Adsense Se Add Kar Ke Connect karna hai.

How To Add Bank Account In Google Adsense

Jub apke adsense ID me Income $100 ho jati hai, to Is payment ko recieve karne ke liye Adsense par Bank Account Add Karna hota hai, fir aap direct apne bank khate me payment recieve kar sakte ho. Agar apne Google adsense ko bank account se connect nahi kara hai to neche diye gaye Process ko samajh kar follow kare.

Google Adsense Me Bank Account Kaise Add Kare?

Apne Bank Account Ko Adsense se jodne ki Puri Jankari pata hona bahut importent hai. Agar aapne kahi kuchh gadbad kar di to aapke paise khate me nahi aa payenge. Adsense jo payment karta hai wo sidhe aapke account me transfer hota hai.

Apka Adsense jis name se hai Bank Account bhi wahi name se hona bahut jaruri hai. Khata jis branch me hai uska IFSC Code aur Swift- BIC Code pata hona chahiye. Agar apke pass in 2no ki information hai, to 2 minute me Google ads khate se apka bank connect ho jayega.

Bank Account Ka IFSC Code aur Swift – BIC Code Kya Hota Hai?

IFSC Code:- Yah aapki bank branch ka ek code hota hai. Sabhi bank ke alag alag branches ka apna IFSC code hota hai. IFSC ka full name “Indian Financial System Code” hai. Ye ek tarah se paise transfar karne ke liye Bank Identity ka kam karti hai.

SWIFT – BIC Code:- Yeh code international money transfer karne ke liye kaam aata hai. Agar aapko kisi other country ke bank me money transfer karna hai, to us Bank ki Swift – BIC Code ki jarurat padegi tabhi aap paise transfer kar sakte hai.

Adsense Me Bank Khata Add Karne Ke Liye IFSC aur Swift Code Kaise Pata Kare?

IFSC Code sabhi bank ki passbook me likha hota hai. Swift Code bank se milta hai ya fir aap iske liye bank ke custome care me call kare or bole ki Mujhe Apni Branch Ka SWIFT Code Chahye.

Iske alawa Swift Code ka pata karne ke bahut tarike hai. Internet par aisi bahut sari website hai jispar jakar aap apne bank ka Swift code find kar sakte hai.

Adsense Par Bank Account Jodne Ke Liye Swift Code Pata Karne Ki Website List

  • IFSC SWIFT CODES.COM
  • BANK CODES.COM 
  • THE SWIFT CODES

Apko in website par jakar sirf apni State, City aur Bank Name enter karna hai apko IFSE aur SWIFT Code mil jayegi.

Isko Bhi Padhe:-

  • Adsense Account Me Multiple Blog Site Kaise Add Karne Ka Method Janiye.
  • Kaise Karte Hai  Adsense Me Address Pin Ko Verify Tarika Janiye.

Kisi Branch Ka SWIFT Code Nahi Hai To Kya Kare?

Kuch local bank branch me SWIFT – BIC code available nahi hota hai. Aise me Adsense aapke bank me paise kaise transfer karega. Iski tention mat lo is condition me apke branch ke home bank ka SWIFT – BIC Code use kar sakte hai.

Sabhi city me sab branch ke ek Main Bank hota hai aur unka SWIFT – BIC Code available hota hai. Aap us home branch me jakar SWIFT – BIC Code ki jankari le sakte hai.

Adsense Me Bank Account Add Karne Ka Tarika

Adsense Account me 100 dollar ya jyada balance ho gai hai aur aap adsense se earn ki gayi apni income recieve karna chahate ho, to yah steps follow kare.

Step 1.

Sabse pahle Google Adsense par ja kar Log in kare.
how to transfer money from google adsense to bank account
  1. Upar right side me Gear icon par click kare.
  2. Isme Payments par click karna hai.

Step 2.

Transaction History ka naya page open hoga. Yaha aap apni Payable Earning dekh sakte hai. Jitna payemt recieve apne bank account me kar sakte ho wo balance yahi show hoga.
adsense bank account verification
  1.  How you get paid ke samne Manage par click kare.
  2. Agar profile me Address ko edit karna hai to, yaha se kar sakte hai.

Step 3.

How you get paid me Manage par click karne par new page khulega. Yah Payment Settings ka page hai.
transfer money from google adsense to bank account
  1. +Add a new payment method par click kare.

Step 4.

Ab ek page khulega usme aapko apne Bank Account ki Details bharna hai. Yah ek tarah ka form hai. Isko bharte samye koi galti na kare. sabhi jankari dhyan se bhare. Agar details me kuch galat ho gai to, aapko payment recieve karne me paresani ho sakti hai. Khas kar iska dhyan rakhe ki Bank Account Name or Adsense Payee Name same hona chahiye.
Add New Payment Method Wire Transfer To Bank Settings In Adsense
  1.  Apna Name add kare.
  2. Bank Name add kare.
  3. Bank ka IFSC code daale.
  4. Bank ka SWIFT-BIC code submit kare.
  5. Bank Account Number enter kare.
  6. Isme Bank Account Number phir se enter kare.
  7. Sabhi jankari check kar ke sabse last me Save par click kar de.

Step 5.

Ab aapka bank account adsense se connect ho gaya hai. Agar aap chahate hai ki isi bank account me hamesa adsense se payment milti rahe to “Set this payment method as primary” par click kar de.
Primary Account

Ab jub bhi aap adsense account me $100 se jyada earn kar lenge har mahine ki 21 se 30 date tak adsense payment kar dega. Yah apko 1 week tak apke bank khata me mil jayega.

Dosto abhi aapne jana Adsense Me Bank Account Kaise Add Kare. Yah jankari apko kaise lagi khate ka account number jodne me koi problem ho to aap comment ke throw puch sakte ho. Apki help karne me mujhe khusi hogi.

Yah Bhi Padhe:-
  • Facebook Profile ko FB Page me Convert kaise kare.
  • Vodafone Call Details or History Kaise Nikale?
  • Google Adsense Par Ads Kaise Banaye?
  • Google Adsense Kya Hai? aur Isko Kaise Use Kare?
शेयर
  • Share on Facebook
  • Tweet on Twitter

आपको ये भी पढना चाहिए
Google Adsense par Ads Kaise Banaye
Google Adsense Par Ads Kaise Banaye? Step by Step Puri Jankari
adsense account approved
Adsense Account Approved Jaldi Kaise Karaye – Top 10 Tarike
10 Din Me Google Adsense Account Approve Kaise Karaye
10 Din Me Google Adsense Account Approve Kaise Karaye

Reader Interactions

Comments

  1. Yasir khan saqlaini says

    10, December 2016 at 4:12 pm

    sir mera ek blog hai. http://www.sharethisindia.com is ko apke blog jaisa design karne ke liye kya karna hoga. kyuki meri cpc nahi badh rahi hai

    Reply
    • Dharmendra Kumar says

      10, December 2016 at 7:35 pm

      Apka blog wordpress par hai isliye apko mere blog jaise design banane ke liye newspepar theme install karna hoga. is theme ko free download karne ka link apko bata dunga aap apna email mujhe bataye. adsense ki cpc badane ke liye apne blog ke side bar me sabse upar 300X250 size ka ads lagaye aur post me 3 responsive link ads or sabse last me 300X250 ka ads use kare. Apki cpc bad jayegi.

      Reply
  2. Rohan says

    23, June 2017 at 6:35 pm

    Hello
    Very great and informative post
    It’s very helpful to new bloggers
    Thanks for sharing

    Reply
  3. Avtar Singh says

    31, October 2018 at 5:30 pm

    sir mere adsence account me adress aur id dono verify ho chuka hai adscence me abhi $13 hai payment method add nahi kar paa rha hu

    kya $100 hone ke baad hi payment method add hoga.

    Reply
    • Dharmendra Kumar says

      31, October 2018 at 10:25 pm

      wait karo kuchh din baad payment method ka option enable ho jayega.

      Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

हाल में अपडेट हुआ

  • Mobile Number Ka Name Location Address Ka Pata Kaise Kare
  • महाशिवरात्रि क्‍यों मनाई जाती है? Maha Shivratri की पूरी जानकारी हिंदी में!
  • Top 10 Online Business Ideas – Ghar Baithe Paise Kamane Ke Tarike
  • DD Direct Free DTH Set Top Box Repair Kaise Kare
  • सिम बंद कैसे करें 2 बेस्ट तरीके – How to Block SIM Card
  • Gadi Ke Number Se Malik Ka Name Pata Address Kaise Nikale ?
  • Idea Call Details History Record Kaise Nikale Ka Tarika or jankari
  • WhatsApp Hack Kaise Kare or Personal Data Ya Message Kaise Dekhe
  • YouTube Brand Channel ya Account Kaise Banaye in Hindi
  • iPhone और Android के बीच का अंतर यहाँ जाने हिंदी में

कॉपीराइट © 2015–2021 हमारे बारे में सम्पर्क गोपनीयता नीति वापस जाएँ।

  • हमारे बारे में
  • हमसे सम्पर्क करें
  • अस्वीकरण
  • गोपनीयता नीति
  • साईटमैप
  • पोस्ट सबमिट करें