Paytm se mobile recharge ya bill pay karne ke liye credit card, debit card ya net banking se paise pay karte hai. Is par account bana kar paytm wallet me mony add karne ke bad iska use sabhi paytm service me easly kar sakte hai.
Paytm wallet me agar paise hai, to hume kisi bhi tarah ke recharge ke paise pay karne ke liye baar baar credit card ya net banking ka use nahi karna padta hai.
Paytm me kuch aise best feature hai jo sayed kisi bhi E-Wallet me nahi ho, Agar apke paytm wallet me balance hai us paise ko apne bank account me bhi transfer kar sakte hai. Yahi nahi isse aap apne friends ke paytm wallet par mony send ya bank account me paisa deposit kar sakte hai.
Use paytm wallet ke liye apko apne wallet me money add karna hoga tabhi ye sab importent kaam kar sakte hai. Agar aap ye janna chahte hai ki paytm wallet me paise dalne ke liye kiya karte hai to is post ko pura padhe.
Paytm Me Paise Kaise Dale ???
- Apke Bank Account me Paisa hona jaruri hai.
- Debit, Credit Card ya Net Banking hona chahiye.
Paytm Wallet Me Paise Kaise Add Kare ???
1. Paise add karne ke liye Paytm ke home page par “Add Money” Button par click kare.
- Jitna paise paytm wallet me add karna hai utna amount dale.
- Aapke paas koi promo code hai, to dall sakte hai.
- Ab Add Money to Wallet par click kare.
3. Ab jo page open hoga usme Debit card se Payment Add karne ka option aayega. Agar aapke paas debit card nahi hai to pay karne ke 3 option or hote hai Debit Card, Net Banking aur ATM inka use kar sakte hai.
Debit Card Se Paytm Me Paise Add Karne Ke Liye Kiya Kare ???
Paytm Account me Debit Card se paise bhejne ke liye steps follow kare.
- Enter Debit Card Number :- Apne debit card ka 6 Digit ka number dalle.
- Expiry Date :- Yah Card me aage ki taraf likha hota hai usse isme dalna hai.
- CVV :- Debit Card ke piche ki side 3 digit me likha hota hai.
- Pay now :- Sabse last me ispe click kar de.
- OTP Password enter karke submit ke button par click kar de.
Aap jitna paise wallet me add karna chahte hai, utna balance aapke debit card me hai to aapke Paytm wallet me paise add ho jayenge.
Credit Card Se Paytm Me Money Add Karne Ka Tarika ???
Net Banking Se Paytm Par Add Paise Kaise Kare ???
- Apne bank account se direct pattm me wallet par rupaye dalne ke liye Net Banking par click kare.
- Kuch popular bank SBI, HDFC, Citi Bank, PNB, Axis Bank aur ICICI Bank ke name samne dikhai denge. Agar apka account inme se kisi me bhi hai to uspar tick karke select kar le.
- Agar inme apka bank nahi mil raha to Select Other Bank ke option par click kare. Bank ki list ayegi usme apna bank choose kar le.
- Ab Pay now option pe click kar de.
Paytm Par ATM Se Paise Add Kaise Karte Hai ???
Dosto ek baar wallet me paise add hone ke baad, jub tak paise khatm na ho instant recharge, bill pay aur shopping kar sakte hi. Paytm ke wallet par paise add karne ki jankari se related aap kuch puchna chahte hai, to comment kare. apke sabhi sawalo ka jawab dene me mujhe khushi hogi. Is site par aane wale tricks or information ko facebook par pane ke liye Like Kare Facebook Page Digital New Hunt.
Ye Bhi Padhe :-
me pese add kar raha hu to ye option credit debit card ka option as hi nahi rage he
aap pahle jitna paise add karna chahte hai usko daal ke aage ki step per click kare debit card or net banking ka option aa jayega.
please replay fast
Bina bank ke pay tm create kiya hai agar koi apne paytm se paise bhejta hai mujhe to kya Aaa jayenge????
ha koi bhi apne paytm wallet se kisi ke bhi paytm account me mony send kar sakta hai.
Mere pass only pass book hi his arm nahi h to aap please account no se paise dalne ke step bataye
apke pass net banking ya atm hoga tabhi aap paytm account me paise daal sakte ho.
main paytm main paise kese dale
iska tarika mene is post me bataya hai..aap post read karo samajh aa jayega
sir please ans. do
Sir mere pass register number nhi hai to bina OTP ke kaise recharge karu please help me
Agar apke paytm account me pahle se mony add hai to recharge kar sakte hai…..isme otp message ki jrurat nahi hoti.
Comment: paytm a/c kholne ke liye aadhar card lagta hai kiya, ek aadmi mera mobile no. se our mere aadhar ke sath finger print lekar paytm a/c khola aisa ho sakta hai kiya
Agar aapne finger print diya hoga to aisa posible hai.
Sir sari process to ho rahi he lekin add money failed bta rha he. Jabki account me paise bhi he.
Otp bhi daal rha hu
Kuchh contact bank bhi likha aa rha he
Kya karu help plzzz.
**Thnk u***
aap paise debit card se aad kar rahe hai ya netbanking se???
Net banking me SBI ki opyion nhi hai….
sbi ka option abhi sayd apke account me enable nahi hai.
sir add money karne par failed bata raha hai
aap kuch galti kar rahe hai tabhi failed bata raha hai.
Mere se wallet ne paisa add nhi ho rha hai btaye
kiya problem ho rahi hai details me bata sakte ho.